Monday, August 11, 2008

Rango ki Pehchaan

Baarish ki Boondh si
Khilti kiran si
Lehro ki tu hain masti
Ya udthi patang si
Indradhanush ke rango ki jaan
Indradhanush si teri pehchaan
Sej pe rakh du
Nihare sab tujhe
Nahi rahe ab koi kona
Unchua tere rang se

Par rang nahi hain ab hain aasu tere
Behto jo baarish ki boondh se
Aasmaani rang ab padh gaye pheeke
Cheen liya ab ujjala kiran se
Bikhar gayi leher takra ke pathar se
Berang saji ab rango ki dukaan main

Gir jaane do baarish ko
Bheege sari dharti
Andhere pad jaane do
Ab rahegi meri roshni
Rang mera hain bus mera
Na ghulega is baarish se
Mera rang to ghula hain
Us neele aasmaan main..


The first verse is also used in the poem " Pehchaan"

No comments: