Thursday, July 10, 2008

'Barsaat'

Kyun Daba lu in ehsaaso ko,
Kyun Udne na du inhe
Kya Saza hain inki
Kya Haq nahi inhe

Baarish ki boondh kya poochti hain
Kis ki chath par giru
Woh tho Nidar barasti hain..
Bus girne ki lekar aarzoo
kya galat kiya maine agar pyaar kar liya?
Kya galat kiya maine agar dil dukha liya?

Kya jawaab du main ab..
Kya khoya...kya paya...

Jab main apna sab kuch
Is bay mausam ki barsaat main bhiga aya.....
Bhiga aya...

No comments: