Thursday, July 10, 2008

'Tasveer'

Bandish na rakhiye koi
Afsana bana lijeye
Dhalti raat ke sahare hi sahi
Jugnu ko dost bana lijeye
Darthe hain aap rang se?
Dharthe hain ki daag lag jayenge?
Arre din nikalte hi ye rang
Tasveero main badal jayenge
Par purani tasveero ka kya?
Un kale safed yadon ka kya?
Ankhon main bhar lo unhe Aye dost!
Dhoop ki kiran padthe hi..
woh bhi rang jayenge!

Chal tu aaj ek nayi dagar
Nahi baandh ab apne maan ko
Le rang bhar...
Bhar ke kar le haatho ko gila
Ab bana..bana daal
Indradhanush sa..
Apna Naya Savera

1 comment:

dil hi to hai... said...

Hi B, Nice post... This kind of reminds me of the Kaleidoscope poem that talks utility of broken pieces of glass when they allow to pass the light through them.