Wednesday, March 26, 2008

"Deewar aur main...."

Kuch baatein adhuri re jaati hain
Kuch raatein puri ho jaati hain
Deewaro ko dekh kar ruk na jaana tum
Dosti nibhani hain...nibhate rehna tum...

Bus kuch palo ka fark hai
Ise kehte hain waqt ka khel
Door khade tum aur hum haste hain
Aur samne...do ajnabiyo ka mel
Par...Deewaro ko dekh kar ruk na jaana tum
Dosti nibhani hain...nibhate rehna tum

Kehte hain sapno ko sapne rehne do
jab udan bhare,tho pankh kaat do
Pinjare ki khoobsurati ko hum na kabhi samjhe
Rakhte hain kuch log magar ghar main saja ke apne
Pinjare ki diwar dekh,ghabra na jaana tum
Dard ko surila saaz bana kar,ek nagma ga dehna tum....

No comments: