Aadhi adhuri baatein
Khati meethi saugatein
Man ko gudgudaati hui
Zubaan par aa jaati hain
Ye Yaadein
Hasi mazaak ke phuware
Kabhi aansuoh ke dhare
Jasbaaton se dosti nibhati hui
Zubaan par aa jaati hain
Ye Yaadein
Pal purane ya naye se
Kabhi apne kabhi paraye
Bin bulaye mehmano se muskarate hue
Zubaan par aa jaati hain
Ye Yaadein
Undheka karoon ya nazar andaaz?
Kaunsa rahega behtaar illaj?
Bewaqt pyaas ki bebasi ko lipte hue
Zubaan par aa jati hain
Ye Yaadein..
Kabhakt inhe koi tho samjhai
Yoon mujhe roz roz na dukhain
Par bolti hain ye mujhe muskrati huin
Gar hum na ho tho ateet adhura
Isliye...bin bulaye..bin khat-khataye
Zubaan par aa jaati hain
Ye Yaadein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Hmm.. For evry joy that passes, something beautiful remains..Yaadein
Well penned dost :)
Post a Comment